Teri saanson ki thakaan, teri nigahon ka sukoot Dar haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho Main jissay pyar ka andaz samajh baitha hoon Woh tabbasum, woh takkallum teri aadat hi na ho….!!
Khuda jaane pyaar ka dastur kya hota hai, Jise apna banaya wo kyun door hota hai, Kehte hai ki milte nahi zameen aasmaan, Par fir kyun aasmaan zameen par fida hota hai.