Bhool kar mujhe woh kehte hai ke tum bhi mujhe bhool jana, Kabhi aaye meri yaad toh ansu mat bhaana, Main toh ek khawaab thi mujhe toota hua khawaab hi samajh jana.
Khuda jaane pyaar ka dastur kya hota hai, Jise apna banaya wo kyun door hota hai, Kehte hai ki milte nahi zameen aasmaan, Par fir kyun aasmaan zameen par fida hota hai.