Ruki ruki si thami thami si , thi meri yeh zindagi.. Jeeti thi main bas yuhin , khud ki parwah nahi thi.. Jhoom kar aayi kuch aisi hawaein , dil churakar chali gayi.. Sochti rahi main, dhundti rahi main , neendein meri khogai.. Tha who ajnabi kuch aisa.. jo mujhse mujhko chura gaya..
Khuda jaane pyaar ka dastur kya hota hai, Jise apna banaya wo kyun door hota hai, Kehte hai ki milte nahi zameen aasmaan, Par fir kyun aasmaan zameen par fida hota hai.