Tutta dil mera aur isey phir jod na saka, usney to mod liya muh apna par me mod na saka . dekhta raha us gali ke kone tak usko, sochta raha kya le gayi aur kya de gayi vo mujhko,
Khuda jaane pyaar ka dastur kya hota hai, Jise apna banaya wo kyun door hota hai, Kehte hai ki milte nahi zameen aasmaan, Par fir kyun aasmaan zameen par fida hota hai.