mere do sher--- Qad sooraj ka naapa karna taron ki parchhai ka, Magar zehn me rahne dena manzar gahri khai ka. Saari ghalti meri hai ilzaam liye sar baitha hun, Gunahgar ho tum bhi lekin kam se kam chauthai ka.
Khuda jaane pyaar ka dastur kya hota hai, Jise apna banaya wo kyun door hota hai, Kehte hai ki milte nahi zameen aasmaan, Par fir kyun aasmaan zameen par fida hota hai.