Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut, Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut, Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi, Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Khuda jaane pyaar ka dastur kya hota hai, Jise apna banaya wo kyun door hota hai, Kehte hai ki milte nahi zameen aasmaan, Par fir kyun aasmaan zameen par fida hota hai.