Kuchh haath se uske fisal gaya wah palak jhapak kar nikal gaya Fir laash bichh gayi lakhon ki sab palak jhapak kar badal gaya Jab rishte raakh mein badal gaye insaanon ka dil dahal gaya Main poochh poochh kar haar gaya kyon mera bhaarat badal gaya.?
Tumhari yaadon se koi naata nahi tha Par tumhe bhool jana hume aata nahi tha Yun to umar guzari hai tumse pehle bhi tanha meri Magar tab akelapan hume yun satata nahi tha.