Kabhi un ka naam lena… kabhi un ki baat kerna… m ...

Chahat Wishes

By Piyush | Added 10 Years Ago, 2 shares
Kabhi un ka naam lena…
kabhi un ki baat kerna…
mera zoq un ki chahat…
mera shoq un pe marna…
kabhi chalte chalte thamna…
aur tham k beth jana…
kabhi larkhara k girna…
aur gir k phir sambhalna…
Kabhi raat raat rona…
kabhi din charhe sisakna…
kabi darya darya rehna…
kabi boond ko tarasna…
raha ishq se hamesha…
koi wasta hai apna…
yehi zindagi hai apni…
yehi rasta hai apna…>>!
View All Chahat Wishes