Rehtey hain sath sath, main aur meri tanhaai Karte hain raaz ki baat, main aur meri tanhaai, Din to guzar hi jata hai logon ki bheed mein Karte hain basera raat mein, main aur meri tanhaai, Saanson ka kya bharosa kab chod jayein sath Lekin rahenge sath, main aur meri tanhaai, Aaye na tumhein yaad kabhi bhool kar bhi humari Karte hain tumhe yaad, main aur meri tanhaai, Aa ke paas kyun door ho gaye hum se Karte hain teri talaash, main aur meri tanhaai.