Mann hi sab kuch hai Tann kuch bhi nahin Mann hi sab kuch hai Tann kuch bhi nahin Aasmano mein so jayega Dastano mein kho jayega Tann kisi roz ban kar dhua In havavo ka ho jayega
Kyo Har Bar Mausam Ki Tarah Badal Jate Ho Har Naye Din Hamara Dil Dukhta Hai, Ye Bat Sunkar Hamari Rooh Tak Kaamp Gayi, K Aap Bartan Dhone Wale Sabun Se Nahate Ho..
Khojoge toh har manjil ki raah mil jati hai. Sochoge toh har baatki wajah mil jati hai. Zindgi itni majboor bhi nahi...; Ae Dost...! Jigar se jiyo, "Maut b jeene ki adaa ban jati hai...!"
Dua hai teri zindagi sada bahaar rahy, Her khushi ko khud tera intazaar rahy, Na ho khatam teri khushiyon ka khazana, Tere lab na bhulen kabhi muskurana.
Rahne de aasman ko zamin ki takash kar, sab kuch yanhi hai na kahin aur talash kar. har arzu puri ho to jine ka kya maza, jine k liye ek kami ki talash kar
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai, Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai, Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi, Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.
Kagaz ki kasti thi, Paani ka kinara tha Khelne ki masti thi, Dil ye aawara tha, Kahan aa gaye is samajhdari k daldal me, Wo nadan bachpan hi kitna pyara tha!
unka Ashiyana dil mein basa rakha hai,unki yadon ko seene se laga rakha hai, pata nahi yad ate hain tum hi kyun, Waise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai
Itni si baat hawao ko bataye rakhna, roshni hogi chirago ko jalaye rakhna, Lahu dekar ki hai jiski ifazat hamne, aise tirange ko sada apne dil me basaye rakhna…
Chaho tum jise chahat se zyada, Sapne dekho tum jiske nind se jyada , Mango tum jise mannat se jayada , Khuda kare wo bhi tumhe pyaar kare Apni sanso se zyada
Ek larki chali ja rahi thi. Ek larkay ne awaz di o deewani sun tera dupata zameen say ghaseeta jar aha hai. Larki boli o deewanay tu kia janay? Ye bhi apna farz nibha raha hay koi choom na lay meray qadmoo ki mitti ko isi liye nishaan mitata ja raha hai.