Most Shared Dard Shayari Wishes and Status Messages

Most Shared Dard Shayari Wishes
Viewed: All time: 280512 times, Week: 2418 times
7 Years Ago | 216 shares | By Ashish 8574816604 # 1

Khamoshiyon Ke Rishte Nibhana Mujhe Aata Hai

Har Dard Se Is Dil Ko Lagana Mujhe Aata Hai


Jo Tum Hanso Hansta Hun, Agar Ro Do To Rata Hun

Jo Jaisa Hai Sang Uske Jeena Mujhe Aata Hai


Banjar Si Jamin Par Hi Kabse Jee Raha Hun Main
Ret Se Apna Ghar Banana Mujhe Aata Hai


Dunia Mein Mohabbat Ka Katra Na Mila Mujhko

Ab Dukh Bhare Geeton Ko Gana Mujhe Aata Hai

9 Years Ago | 144 shares | By tanisha kardam # 8913

Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya,
Ishk nakam sahi phir bhi bahut kaam aaya,
Humne mohabbat me aisi bhi guzari raaten,
Jab tak aansu na bahe dil ko na aaram aya.

8 Years Ago | 114 shares | By Navi Shrivastava # 4

Aansoo tab nahi aate jab aap kisi ko kho dete hai,
ye to tab aate hain, jab ap khud ko kho kar bhi kisi ko pa nahi sakte...!!!

8 Years Ago | 107 shares | By 9816334585Lucky # 132

Waqt ki andhi mujhe tumse door kar degi, tum to jee lo ge mere bin kisi aur k sahare,
aur zindgi mujhe jeete ji marne ko majboor kar degi....

8 Years Ago | 99 shares | By 9875288111 # 12

Kabhi aisi bhi berukhi dekhi hai humne
Ke log aap se tum tak,
Aur tum se jaan tak,
Fir jaan se anjaan tak ho jate hain..

8 Years Ago | 92 shares | By Mahipal Rawat # 3315

Ek roj jab wo mujhse miley to kehne lage ki,
Tum yu udaas na raha karo mujhe achha nahi lagta,
Yaaro, Main to us se itna bhi na keh saka ,
Ye udaasi to kab ki chali gayi hoti...
Jo mujhe tera saath mil gaya hota...

8 Years Ago | 85 shares | By rohit kumar # 8905

Na muskurane ko jee chahta hai,

Na aansoo bahane ko jee chahta hai,

Likhun to kya likhun teri yaad mein,

Bas tere pass laut aane ko jee chahta hai.

8 Years Ago | 80 shares | By Nairit Biswas # 1941

Har ashiq ki ek ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nisani hai,
Koi zakhm nahi, Fir bhi dard ka ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukra aj bhi uske paas hai.

9 Years Ago | 65 shares | By anmol arora # 148

Jis gum ne zindgi ko muskil bana diya,
hum ne usi ko mout ka sahil bana diya

Har gum ko mar ker sone ki koshish ki, har pal unhone neend ka katil bana diya .
Dard-e-jigar ne bhi hamein kabhi kabil na samjha, hum ne hi khud ko dard ke kabil bana liya
Behtar hai bin kheveya naiya ka dub jana,
Yahi soch kar majhdar ko manzil bana liya.

8 Years Ago | 56 shares | By 9875288111 # 12

Zindagi ne kuch is tarah ka rukh liya,
Jisne jis taraf chaha mod diya,
Jisko jitni thi zaroorat saath chala,
Aur phir ek lamhe mein tanha chod diya.

8 Years Ago | 50 shares | By anmol arora # 148

Kasam khuda ki hamein tum se pyar aaj bhi hai ,
Wo pyar ki taraf bekarar aaj bhi hai ,
Meri wafa ka aitbar tumhe ho ya na ho ,
Teri vafa ka aitbar hamein aaj bhi hai

9 Years Ago | 39 shares | By 9875288111 # 12

Wakt To Hume Bhula Chuka Hai,

Mukaddar Bhi Na Bhula De,


Pyar Dil Se Hum Isiliye Nahi Karte,

Kyuki Darte Hain Koi Phir Se Na Rula De ..!

9 Years Ago | 37 shares | By 9816334585Lucky # 132

mainu majboor karke dass tenu ki mileya,
Dilon mainu door karke dass tenu ki mileya,
kitta pyar tere naal k gunah kitta main,
enna pyar tere naal pa k dass mainu ki mileya ?

9 Years Ago | 33 shares | By 9875288111 # 12

Ab to kuch apni tabiyat bhi juda lagti hai
Saans leta hun to zakhmo ko hawa lagti hai
Kabhi razi to kabhi mujse kafa lagti hai
Zindgi tu hi bata tu meri kiya lagti hai

9 Years Ago | 32 shares | By Ravi # 8922

Tumhe dilagi bhool jani padegi mahobbat ki rahon mein aakar toh dekho... Tadapne pe mere na phir tum hasoge, dil tum Kisi se alga kar to dekho....!!!!!

9 Years Ago | 29 shares | By Mritunjay Madhusudan # 8915

Did ro raha hai mera magar aakhen nam nhi

Duniya samajh rahi hai hamein koi gam nhi

9 Years Ago | 24 shares | By Prabhjot # 95

Log milte hain mujse aur kehte hain ki tujhme ye kami hai, ke tu ho jata hai sabka par kisiko apna manta nhi, uni logon se kuch arse me main ye puchu ki kaise ho! Wohi palat kar kehte hain main tume janta nhi....

8 Years Ago | 20 shares | By Deepak Singh # 550

Kyon waqt ke saath rangat kho jati hai,
hasti khelti jindgi bhi aam ho jati hai,
ek savera tha jab haskar utha karte the ham,
aaj bina muskuraye hi shaam ho jaati hai..... :(

8 Years Ago | 19 shares | By sneha sharma # 1940

Duniya ki bheed mein hum us insaan ko dhundte rahe...........

Jo hamien bhi zindagi jeena sikha de.........

Mile bahut par... har koi zindagi me aane ki wajah suna gaye............

8 Years Ago | 19 shares | By 9875288111 # 12

Waqt ke mod pe ye kaisa waqt aaya hai,

Zakhm dil ka zuban par aaya hai,

Na rote the kabhi kanton ki chubhan se,

Par aaj na jane kyun phulon ki khushbu se rona aaya hai.

8 Years Ago | 16 shares | By 9875288111 # 12

Ehsaas na kar mere jazbaaton ka,
Nazron se gira be shak lekin..


Jeena bhi mujhe dushwar lage ,
Itna to nazar andaaz na kar..

8 Years Ago | 16 shares | By 9816334585Lucky # 132

Mar jayen hum to fariyad mat karna,
aaj yaad nahi karte to kal bhi yar mat karna,
mana k aaj waqt nahi hmare liye apke paas,
Zindagi me kabhi waqt mile to hum pe barbad mat karna. . .

10 Years Ago | 15 shares | By Diljale*GR* # 9

ZinDgi K SaFaR Ko LaFzo Me PiRoYa H
ApNi Hr GazaL Ko DarD Me BhiGoYa H
AaJ WaH_WaH Na KaHNa MeRe YaRo
Qki AaJ FiR Ye DiL Kisi Ki YaD Me RoYa h.

8 Years Ago | 13 shares | By manku 9896886868 # 140

Hum to samjhe the ki zakham hai bhar jayega..
kya khabar thi ki rog dil me utar jayega..
Theek likha tha mere hath ki lakero me...
Tu agr pyar karega to bikhar jayega...

9 Years Ago | 12 shares | By Prabhjot # 95

Raah takti ankhon ka intezar khatam ho gya, aaj mere dil ke andar pyar khatam ho gya, chhoti si ik duniya thi iss dil me khawabon ki, mere sath hi iss dil ka vo sansar khatam ho gya...

10 Years Ago | 12 shares | By Prabhjot # 95

Zakhmo ko dil k dheere dheere sehlate hain, zakham ye dil ke mujhe unki yead dilate hain, bas yehi soch kar aksar aansu behte hain, dil todne vale itne masum kyun nazar aate hain...

8 Years Ago | 12 shares | By sneha sharma # 1940

Iss nachiz ko har kisi ne istemal kiya........
khubsurat nahi thi par fir bhi pyar ka inteqab kiya........
jab aayi nibhane ki baari.....
tou kaha yaar humne to sirf majak kiya...........

8 Years Ago | 11 shares | By Neeraj # 32

Toota ho dil to dukh hota hai
Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai
Dard ka ehsaas to tab hota hai jab
Kisi se mohabbat ho aur uske dil mei koi aur hota hai…

10 Years Ago | 10 shares | By Arun kumar # 8899

Baithunga jab tanhai me to ye DiL udas ho jayega,

Na chahte huye bhi mujhe tera pyar yaad aayega,

Abhi mangte hain jinhe hum din rat apni duaon mein,

Ek din wo kisi ko bin mange mil jayega,

8 Years Ago | 8 shares | By Deepak Singh # 550

Bewafao ki ye duniya hai zara sambhal kar chalna E dost,
yaha log barbad karne ke liye bhi mohabbat ka sahara liya karte hai........!!

  Showing 1 - 30 of 635

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10  | Next >

Top Contributors

Points Rank Wishes
Ashish 8574816604 2024 1 2024
PAGALPANTI 1901 2 1901
8003511191 1558 3 1558
Navi Shrivastava 1053 4 1053
AJIT RUBY 988 5 988
MeraSanam 882 7 882
sunil vasava 872 8 872
Diljale*GR* 861 9 861
reian jain 854 10 854
Malkit Singh Gill 840 11 840
This category was added on 5/4/2018 3:56:36 PM, contains 635 SMS, images and status messages, was last last updated on 6/26/2022 12:19:24 PM, has 16 images, had 280512 visitors this month so far. Feel free to share these good, clean, happy Dard Shayari messages with your friends on WhatsApp and Facebook.