Yaad-E-Mehboob se zinda hoon Ghaalib,Warna kaun jeeta hai KHUDA ki duniya main tamasha ban kar...
Naraaz kyun hote ho chale jate hain teri mehfil se Ghaalib,Apne toote hue dil ke tukre to utha lene do...
Aqal Walon ke Muqaddar me Yeh Junoon Kahan Ghaalib,Yeh Ishq Wale hain Jo Har cheez Luta Deta Hain....!!
Main KHUDA ki nazron mein kaise na gunahgar hota Ghaalib,Ke ab to sajdon main bhi wo yaad aane laga...
Tere baad na aae ga meri zindagi ma koi aur Ghaalib,Ek maut hai ke jis ki hum Qasam nahi dete...
Pehle us neGKahaPhir us neHKahaPhir us neAKahaPhir usneLKahaPhir usneIKahaPhir usneBKahaIs tarha zalim ne GHAALIB ke tukre tukre kar diye..
abhi tak aks hai glass ki nok par us ke honton ka Ghaalib,zalim ne meri pyaas par bhi pehre laga diye...
Ajab hai "RASAM-E-MOHABBAT" ki Ghaalib,Dil humara hai magar "IKHTIYAAR" kisi aur ka hai...
waqt-e-rukhsat usne murh kar is tarha dekha Ghaalib,main dil pe haath na rakhta to dil nikal jata...
Uss Ke Honton Ko Chua Toh Ehsaas Hua Ghaalib,Ke Pyaas Faqat Paani Se Hi Nahi Bujhti...
In phoolon ka muqadar kabhi ek sa nahi hota Ghaalib,kabhi sehre ki sajaawat bante hain to kabhi qabaron ki ronak...
Bichharne wale yeh kyun nahi samajhte Ghaalib,Ke yaadon se mohabbat ka guzaara nahi hota...
Kal raat chand hu-ba-hu tujh jaisa tha Ghaalib,Wohi husan, wohi ghuroor, or wohi doori...
Us ki "NIGAHON"mein itni KASHISH thi Ghaalib,Ke khared li us ne ek hi nazar me zindagi humari....
Tujhse chaahat hai toh aa jaate hain teri galiyon main Ghaalib,warna sara sheher baqi hai faqat awargi ke liye...
Zindagi se koi cheez udhar nahi mangi main ne Ghaalib,Kafan bhi lenge to zindagi apni de kar..!!
haalaat ne torh diya kachche dhaage ki tarha Ghaalib,warna mere vaade bhi kabhi zanjeer hua karte the..
Husn walon ko kiya zarurat hai sanwarne ki Ghaalib...?Wo to sadgi me bhi Qayamat ki adaa rakhte hain..!!!
Pehli mulaqaat thi aur hum dono hi bebas the Ghaalib,wo zulfen na sambhal paye aur hum khud ko...
Peene Ko Toh Pee Jaun Zeher Bhi Ghaalib,Par Shart Yeh Hai Ke Woh Bahoon Me Sambhale Mujh Ko.....
kal tak jo kehte the ke ronaq-e-mehfil tujh se hai Ghaalib,aaj wohi mujh se ulajhte hain ke tu mehfil me na aaya kar.
Ishq ki rahoon mein do hi manzilen hain Ghaalib,Ya dil me utar jana, ya dil se utar jana...
kismat ne saath chhora to pani ki boond ke liye taras gae Ghaalib,warna koi zamana tha log ro ro ke aansu pilate the...
Har Dharakte Patthar Ko Dil Samjh Lete Hain Ghaalib,Umar Beet Jaati Dil Ko Dil Banane Me
Ab to aankhon main samati nahi koi surat Ghaalib,kaash maine tujhe ghoor se na dekha hota....
Apni Mast nigah me doob jaane de Ghaalib,Bara Haseen Samandar hai yeh khudkushi ke liye....
Hum ko Khaak Kar Dala Teri Aankhon Ki Masti Ne Ghaalib,Hazaron Saal jee Lete Agar Tera Deedar Na Hota ...
lamha lamha mera is dukh main basar hota hai Ghaalib,ke zindagi bohot kam hai tujhe chahne ke liye...
Humare baad nahi aaega tumhe chahat ka aisa maza Ghaalib,Tum logon se khud kehte phiroge mujhe chaho koi uski tarha...
Yeh mat soch teri ruswai ne aaj rula diya Ghaalib,Bas ek shakhs ne poocha tha meri mohabbat ke baare me.
Showing 3541 - 3570 of 7955