Bolta hai dosti, Chup rehta hai pyaar, Hasati hai dosti, Rulata hai pyaar, Milati hai dosti, Judaa karta hai pyaar, Phir bhi kyun dosti chodkar, Log karte hai pyaar.
Tere intezar mein umar bhi ghawa di Ek bar mera intezar kar ke dekhna Tere hussan ki kashish teri sadgi hai jani Yeh sab kuch uss par nisar kar ke dekhna..
Hota hai dil kyu betaab aur beqarar Ek lamhey ka intezar kar ke dekhna Hijar mein katain hain shabo-roz ki tarhan Ghari ki tak tak shomar kar ke dekhna
Pyar wo hame bepana kar gaye, Fir zindagi mein hamko tanha kar gaye.. Chahat thi unke ishq mein fanna hone ki, Par woh lout kar aane ko bi mana kar gaye…
Ho sake toh pyaar ka itebar kar ke dekhna Phir lafzon se iqraar kar ke dekhna Junon ki had se aage nikal jain ge Faqat ek bar hum se izhaar kar ke dekhna